Tuesday, December 9, 2014

Laga jaise maut mein abhi waqt hai...

A Keyrun Rao original, dedicated to Sriram sir's 'Badlapur'


















Maut ke maayine jaise roz badal rahey hain,
Tere saath zindagi hai, tere bin jaise maut hai;
Maut kya hai mujhe ab samajh bhi nahin aata,
Ya toh zindagi laal hogi, ya maut kaali raat hai.

Marne mein kya badi baat hai, bas saansein rok lo,
Jeene mein hazaaron dard hain, dekho zara jee ke;
Marr ke sab sukoon hai har taraf, jahan bhi dekho,
Khul ke jiya tha pehli baar, tere pyaar ko dekh ke.

Laga jaise maut mein abhi waqt hai, galti ho gayi yaar,
Yaar se yaari bas abhi hui thi, sajda baaqi reh gaya tha;
Sar utha ke dekha to bas andhera chhaaya tha mujh par,
Na thi gehri raat, main akela tha, aur kuchh dhuaan sa tha.

Jeene ke maayine bhi roz badal rahey thay jaane kyon,
Jeena tujh se seekha tha, marna bhi sikhaa deti kisi din;
Tujh se mil kar marna hi nahin tha kabhi bhi mujh ko,
Bhool gaya tha ke yahaan sab hi ko marna hai ek din.

Phoolon sa din jiya tha tere saath har roz, ye kya ho gaya,
Roshni ke pyaar mein ek taara toot kar kahaan kho gaya;
Andhere mein roshni jiyegi kaise koi ab mujhe bhi bataao,
Maut mein abhi bhi waqt hai, mere pyaar ko bhi to bataao.

Laga jaise maut mein abhi waqt hai, zindagi mil gayi jab,
Maut ke baad shaayad sab khatam hai apni kahaani mein;
Zindagi ko to bas aisa tarsa hoon tujh ko mil kar main
Jaise chaandni raat mein ab suraj dhoondhta hoon main...


    

No comments:

Post a Comment