A Keyrun Rao original...
Jab chhota tha, toh main akela rehta tha,
Sach mein koi dost hi nahin tha mera;
Shayad main achcha tha ya woh burey,
Ab toh pata bhi nahin kya chal raha tha...
Barson lag gaye mujhe ek dost banane mein,
Ek gaana tha bechaara, kisi ne suna nahin tha;
Ek kitaab bhi thi, sharmeeli aur murjhaayi si,
Ye donon dost baste hain aaj bhi dil mere mein.
Lagta hai dost bahut hain mere aaj sab jagah,
Woh toh aisa hi samajhte hain hamesha se;
Kya main bhi un ka dost hoon, kaun jaane?
Kitaabon aur gaanon se yaari hai ab is tarah.
Raah chalte koi naam pukaarta hai mera,
Kehta hai wo jaanta hai mujhko achche se;
Na toh main usey jaanta hoon, na khud ko,
Khush hua jab mila us ajnabi ko achche se.
Ek gaana tha, aur ek kitaab thi mere paas,
Duur tak saath they mere, koi sawaal nahin;
Thodi khushi, kuchh aansoo saath baantein,
Phir bhi aaj tak koi bandish ya khalish nahin.
Ek khushboo chal padi mere saath raah mein,
Kehte hain Rani hai us jaadugarni ka naam;
Dard ke kissey bahut peechhey reh gaye ab,
Bas usey khoob pyaar karna hai ab mera kaam.