Thursday, May 29, 2014

Dhadkan be-awaaz hai tere bina




















Jeena mujhe ab jeene jaisa nahin lagta
Akela hona akela hone jaisa nahin lagta
Tanha pehle bhi tha ik zamaane mein
Ab tanha rehna mujhe achcha nahin lagta

Dhadkan be-awaaz hai meri ab tere bina
Zindagi se fariyaad hai mujhe tere bina
Tu na mili hoti toh aisa na hota shaayad
Ab kaise muskaaoon bata main tere bina

Dil ko mere ab sukoon kahin bhi nahin milta
Mere chaman mein koi phool nahin khilta
Banajar hai khayal saare, sooni galiyaan hain
Jaise kisi sharaabi ko maikhaana nahin milta

Dhadkan be-awaaz hai meri ab tere bina
Zindagi se fariyaad hai mujhe tere bina
Laut ke aaja jaldi se tu paas mein mere
Ya bata de kaise rahoon main tere bina

Tere paas hone ki baat hi kuchh niraali hai
Gehri-andheri raaton mein bhi Diwali hai
Khushi ka matlab jaana hai maine tujhse hi
Tere bina chaandni raat bhi meri kaali hai

Dhadkan be-awaaz hai meri ab tere bina
Zindagi se fariyaad hai mujhe tere bina
Phir se mil mujh ko tab dikhaoonga main
Kaise banjar hai mera gulistaan tere bina

Duur na ja mujhse kisi bhi wajah se
Bina tere itna adhoora hoon main    
Jaise koi naami shaayar bina ghazal
Bas sang tere hi aaj poora hoon main

Dhadkan be-awaaz hai meri ab tere bina
Maut se bhi parhez hai mujhe tere bina
Kuchh bhi achcha nahin lagta hai mujhko
Suraj ho ya chaand sab bewajah hai tere bina

No comments:

Post a Comment