Friday, June 21, 2013

Ek 'Rangrez' type gaana likhna hai yaar...





















Ever since I heard the 'Rangrez mere' song written by Rajshekhar for Aanand L. Rai's Tanu Weds Manu, composed by Krsna, I have wanted to write something on those lines... A humble attempt, if I may...

Ek naya rang dekha tujh mein...
A Keyrun Rao original

Kaali-safed si hi thi yeh zindagi meri
Jab tak tera yeh rang dekha nahin tha
Laal rang se pyaar ho chala tha mujhe
Jab tak tujh mein nahaaya nahin tha

Ek naya rang dekha tujh mein maine
Zindagi se pyaari, zindagi se bhi zinda
Teri aansuon mein bheega tha ek din
Maut se hua tha main us din sharminda

Tere rang mein naha kar dhul gaya hoon
Aansoo dhul gaye mere kuchh is tarah
Ab muskaanon sa rang chadh gaya hai
Tu hi hai ab se mere jeene ki saari wajah

Andherey aasmaan mein taaron ki tarah
Chaashni mein doobi hui jalebi ki tarah
Tere rangon mein ghul gaya hai aashiq
Lambi raat ki ab shaayd hui hai subah

Shaayad teri rang mein rang gaya hoon
Mere rang ka toh kurta bhi nahin hai ab
Teri rooh ka rang chadh gaya hai mujh pe
Tujhse hi jaane mujhe kyon lagey hain sab

Jab tak tera rang maine dekha nahin tha
Laal rang se pyaar ho chala tha mujhe
Ab saare rang tere mil gaye hain aaj
Bataa kyon main itna na chaahoon tujhe

Ghulam ho chala hoon tere saare rangon ka
Mere rang ab bujh se gaye hain aisa lagta hai
Bas tu chhayi rehti hai mere indradhanush mein
Naye rang ban gaye hain, aisa mujhe lagta hai

No comments:

Post a Comment