Thursday, November 29, 2012

Kuchh karodon saal hue...

A Keyrun Rao original

Kuchh pal nahin hue tumhe gaye
Aisa veerana chhaa gaya hai ab
Samajh nahin aata hai yeh mujhe
Ke tum ab gaye ki shaayad tab

Kuchh karodon saal hue shaayad
Maine tumhe aakhri baar dekha tha
Shaayad itna waqt nahin beeta hai
Par hamesha tujhe maine socha tha

Saaye bhi kahin khoye se lagte hain
Jaane itne tanha hum kyon rehte hain
Tujhe toh maine maanga hi nahin tha
Phir tere liye kyon itna tadapte hain?

Kuchh pal nahin hue humko bichhde
Aisa lagta hai ke bas hum aaj lut gaye
Teri yaadon ke kuchh motiyaan aaj
Mere taqiye par phir se yun mil gaye

Kiski talaash hai...

A Keyrun Rao original dedicated to Manoshi Nath



Sab kuchh paa kar tanha hain,
Tumhe jaane kiski talaash hai
Main khud ko dhoondhta hoon
Tumhe aaj jaane kiski aas hai

Khud ko paaya tha mara hua
Jab tak usne nahin dhoondha
Aaj zinda hone ka ehsaas hai
Bas rooh thoda sa chhila hua

Talaash sab ko hi hai kisi ki
Kya paata hai koi khata hai
Jo bhala hai shayad bura hai
Sabka maalik bas Khuda hai

Maine toh jo bhi paaya hai
Samjha usko meri talaash
Jo na mila itna chaah kar bhi
Kabhi na hua main niraash

Kiski talaash hai socho toh
Tujh mein aur mujh mein
Qaid rehta hai har dum woh
Humein paana hai bas usko

Friday, November 16, 2012

Khayaali pulaao




A Keyrun Rao original

Dost jab khilaunon se khelte they,
Main khayaalon se kushti khelta
Kabhi main jeet.ta kabhi meri soch
Main hamesha yun tanha tehelta

Kabhi bol nahin paaya zyaada,
Kisi ki suni bhi nahin jaati thi
Sar ke andar ke shor se mere
Baatein bas dab ke reh jaati thi

Kuchh bade hue, to likhne lage
Meri soch syaahi mein ghul ke
Meri awaaz ki laathi ban ke
Alfaaz ban kar ab utarne lage

Akela hi rehta hoon, soch mein
Naye kirdaaron ki talaash mein
Kabhi beer mein, ya rum mein
Ek anjaan se kisi ke gham mein

Mere dost ab paise kamaate hain
Main khayaali pulao pakata hoon
Kahaniyaan, geet aur kuchh kisse
Isi mein apna ab waqt bitaata hoon

(Written for Sneha Khanwalkar)