Saturday, August 11, 2012

Chala deb goli...













A Keyrun Rao original dedicated to the gangsters of Wasseypur... 

Chala deb re goli, koi kuchh na boli
Tum khelte rahe hoge kahin rangon se
Humaare yahaan to bas chalti hai
Dushman ke khoon se laal-laal Holi

Kyon bardaasht karein tumhari shaqal
Jab goliyaan hain saari mushkilon ka hal
Duur hi rahiyo humse, oh pyaare babua
Tumhaare jeevan ka suraj jaayega dhal

Badle ki aag mein jal kar koyla ho gaye
Saare apne toh ab maut ki neend so gaye
Kadam peechhe hata lete abbu humaare
Ek khooni fasal aur peechhe chhod gaye

Andhera sa hi reh gaya hai ab har taraf
Jald hi pighal gaya gusse ka bada baraf
Jeene se pehle maare gaye hum saare
Itni jaldi kaise beet gaye itne saare baras

Viraasat mein mili badle ki aisi yeh aag
Das gaya hum ko dushmani ka ye naag
Sanima mein jo dekhe pyaare sapne
Lag gaya sab pe ek ganda khoon daag

No comments:

Post a Comment