A Keyrun Rao Original dedicated to Anurag Basu's 'Barfi!'
Bade pyaar se din guzarte, jab chhote they
Sab hi kuchh toh achcha sa hi lagta tha
Na koi bade sapne, na kisi anjaan se darr
Bas yun hi lamhon mein behte rehte they
Aaj phir laga wo pal saare dobara jee lein
Us maasoomiyat mein hum phir ab tair lein
Shaayad ho nahin paayega woh phir humse
Dil to bahut kuchh kehta hai, uski kaun sune
Daud toh rehti thi, par ghar pahunch ne ki nahin
Maloom kuchh na tha, kya aasmaan ya zameen
Taare takhte rahe jab tak woh chhoti raatein rahi,
Ghul gaye hain usi khamosh raat mein hum kahin
Bachpan bhi yaad aa gaya, rooh phir se dhul gayi
Paise toh kama liye, par woh muskaan chali gayi
Ek baar phir waise muskaane ko yeh dil karta hai
Par woh mausam chala gaya, woh shab dhal gayi
Kya phir kabhi waise dekhoonga main yeh jahaan
Tang ho chala hai taaron se bhara mera aasmaan
Ek baadal aaj main phir se odhna chaahta hoon
Woh bachpan mera kya jaane chhupa hai kahaan