Sunday, May 27, 2012

Kitne mausam saath dekhe...

A Keyrun Rao original humbly dedicated to Sandeep Mohan's debut film 'Love, Wrinkle-free'



Pehli mulaqaat ki yaadein dhundhli ho chali hain
Tere saath jaane kitni shaamein ab dhali hain
Thoda hum bade hue, kuchh humne sikha diya
Itne kadam saath chale, lagta hai sab kuchh pa liya

Aisa lagta hai ki jaante hain tumhe khud se zyaada
Teri har pyaari muskaan aur aansuon ka iraada
Phir sochte hain ki jab khud hi ko nahin jaan paaye
Kaise soch liya ki tera kabhi nahin badlega iraada

Rishte to aajkal yahaan hote hi kuchh ajeeb hain
Duur waale jaane kyun lagte dil ke  kareeb hain
Is kaminey dil ki harkatein hi kuchh aisi hoti hain
Kabhi jannat to kabhi jehannum mein bhejti hain

Kitne mausam saath dekhe hain humne chalte hue
Kabhi khushi mein bheegte, ya gham mein jalte hue
Tere hone ka suqoon raha, chaahe jitne naraaz hue
Har mod pe rehna sang, bhool ke sab shikwe-giley

Phir se karte hain pehli mulaqaat, bolo kya kehti ho?
Phir ajnabi ban kar, mohabbat shayad aur gehri ho?
Annie bas itna jaan lo, ek tum hi mere liye zaroori ho
Iske baad phir chaahe meri har aarzoo adhuuri ho.

(Just my juvenile take on the mid-life crisis faced by a married couple that has been beautifully depicted in the film. Hope it made sense; feedback will be appreciated.) 

Saturday, May 26, 2012

Kitna aur udna hai...

A Keyrun Rao original, inspired by Vikramaditya Motwane's Udaan.



Udnaa seekhne se pehle hi kyun pankh kat gaye
Aasmaan ke manzar bas sapne ban ke reh gaye
Chalna seekhte hue udne ke khwaab reh gaye
Chaand na chhu sakey, ab raste bhi thehar gaye

Kitna aur udna hai, kya jaane kaun bataayega
Kya mera yeh khwaab ab mitti mein mil jaayega?

Koi pankh udhaar mil jaaye, to asmaan choom lein
Tum saath mera de do, khul ke ab hum jhoom lein
Ungli tumhaari pakdi thi, tab to chalna seekhe hain
Haath thaam ke dekho, shaayad udna bhi seekh lein


Kitna aur udna hai, kya jaane kaun bataayega
Kya koi mujhko kabhi mujhse bhi milwaayega?

Taare ginte hue toh kabhi aisi thakaan nahin hui
Phir kyon is bhed-chaal mein, saans hai phuli hui?
Ek nayi raah ki talaash hai, manzil kuchh nayi hai
Bataa meri ye udaan phir kyun tujhe raas na hui


Kitna aur udna hai, kya jaane kaun bataayega
Kya mera sawaal mujhe tujhse duur le jaayega?

Tujhse juda ho jaane par main khush nahin hoon
Par tere saath bhi toh main adhoora sa hi hoon
Udne de mujhe mere aasmaan mein kuchh duur
Jahaan bhi jaoon, main hamesha tera hi to hoon