Sunday, October 30, 2011

Ye tune achcha kiya

A Keyrun Rao original


Bas ek tera bharosa tha
Sirf tujhse hi ummedein thi
Meri taqleefien baant leen
Ye tune bada achcha kiya

Seena taan ke khada ho gaya
Meri zimmedariyon ko kam kiya
Mera naam tune roshan kiya
Ye tune bada achcha kiya

Sab ke bhalaai ki tune sochi
Meri tarah sab pe reham kiya
Meri shaan rahega hamesha tu
Ye tune bada hi achcha kiya

Bas neki ki raah par tu chala
Khuda ka nek banda tu bana
Mere har sehra ka baadal bana
Ye tune bada hi achcha kiya

Ek shiqayat rahegi meri hamesha
Ek din pehle kyun nahin mila?
Kuchh saansein bachi thi meri
Bataa kahaan tha tu ruka hua?

Miloonga jab jannat mein tujhse
Tab bhi yehi sawaal rahega
Mera saaya to tere saath tha
Mujhe kyun tune juda hone diya

Ek dua, ek salaam, tujhpe mera
Rahega hamesha yun baqaaya
Us din bhi mil leta mujhse tu
Yaar ye tune theek nahin kiya

Saturday, October 29, 2011

Kuchh tanha sa lagta hai...


A Keyrun Rao Original

Peena akele seekh gaya
Jeena mushkil lagta hai
Ek saath kisi ka mil jaaye
Mausam zaalim lagta hai

Kuchh tanha sa lagta hai
Sab thehra sa dikhta hai

Saansein ye chalti jaati hain
Din kabhi bhi nahin theharta
Rooh meri chhilti jaati hai
Tanha lamha nahin guzarta

Kuchh tanha sa lagta hai
Sadma ye gehra lagta hai

Manaa lete hain khud ko
Bahaane hazaar karte hain
Teri baahon ka intezaar hai
Ab ye karwatein kehti hain

Kuchh tanha sa lagta hai
Mera sab tera hi lagta hai

Kab tak jiyenge yun akele
Khuda ab paraya lagta hai
Udhaar hi de mujhe saath tera
Kya koi tere dil mein rehta hai

Kuchh tanha sa lagta hai
Ye qissa ab adhoora lagta hai

Thursday, October 27, 2011

Ishq mein main madhosh...

A Keyrun Rao original

Na tha husn ka koi hosh
Tere ishq mein behosh
Ugta-doobta rehta main
Jeene mein tha bas ek josh

Ek bas tera suroor tha
Ishq mein main madhosh

Na thi jannat ki koi khwahish
Na suqoon ka mujhe intezaar
Yun bhara tha seene mein mere
Teri har wo adaa ka aitebaar

Ek bas tera suroor tha
Ishq mein main madhosh

Kyun chaaha yun besabab tujhe
Kyun maanga tujhe hamesha
Sawaal rahega ye to hamesha
Hamesha maine khud se poochha

Ek bas tera suroor tha
Ishq mein teri main madhosh

Kuchh dhadkanein de teri
Meri kuchh saansein bhi le
Muft bikne ka ek tareeqa yaar
Mei khudi ko bhi to de

Ek bas tera suroor tha
Ishq mein main madhosh

Jeena tere bin jeena nahin
Kab hoga ye tujhe yaqeen
Khwabon ka sauda to lage
Humko kuchh zyaada haseen

Ek bas tera suroor tha
Ishq mein main madhosh

Dhadkanein thak gayi hain ab
Saansein kyun uljhi rehti hain
Bas tere naam ka kiraaya hai
Jo har-dam bharti rehti hain

Ek bas tera suroor tha
Ishq mein main madhosh





Tuesday, October 18, 2011

Ek pal mein sab khatm

A Keyrun Rao original

Ajab kahaaniyaan hain uski
Kab tak chalegi koi na jaane
Ek pal mein ho jaaye shuru
Ek pal mein sab kuchh khatm

Koi soch hai kya us mein jab
Apne bande tu wapas le leta hai
Kisi ki dua sunta bhi hai tu
Jitna bhi koi banda ro leta hai

Ajab kahaaniyaan hain uski
Kaun kitni saansein lega
Kaun kitne dun bharega
Ek pal mein sab kuchh khatm

Sab tere reham par jeete hain
Teri raah par bhi jo chalein
Ek pal mein sab kuchh khatm
Kuchh to Khuda dikha reham

Bade pyaare bande chhin gaye
Hum phir bhi kyun zinda reh gaye
Humare neki mein kami kya thi
Jo hum aaj bhi yahin reh gaye

Kab bulaayega tu humein
Aisi kya khata hum kar gaye
Dikha de humein bhi jannat
In aansuon se ab hum thak gaye

Ajab kahaaniyaan hain uski
Kisi ko paas apne bula liya
Kisi ko tadapte hue chhod diya
Qafir nahin, par tera shuqriya 

Jeena hai kuchh pal aur yahan
Jo tujhe na aaye meri bhi yaad
Kuchh kissey mere bhi hain
Kyun karoon unhe main barbaad

Monday, October 17, 2011

Sab uska hai socha hua...

A Keyrun Rao original

Kitna bacha lega bande
Kharch to tu ho raha hai
Thoda kuchh aisa kar de
Wo raah mein roshni bhar de

Sab uska hai socha hua
Kab ye samjhega tu
Kuchh nahin tere haath mein
Kab sach ye maanega tu

Har dhadkan ka mohtaaj tu
Ek ansuni saaz hi hai tu
Awaaz bhi uski di hui hai
Ye kab pehchaanega tu

Sab uska hai kiya dharaa
Ye kab yaqeen karega tu
Faqir to hain saare yahaan
Bataa kab ye jaanega tu

Khwaab koi bewajah nahin
Raah to wahi dikhata hai
Thoda kuchh aisa kar de
Seene mein bharosa bhar le

Kahaani usne likh di teri
Tu bas ek qirdaar hai
Jaan laga de jeene mein
Tera wahi kaarobaar hai

Sab usne hai likha hua
Tera noor bhi gehra hua
Jannat to wahi deta hai
Dariya bhi usne sehra kiya

Kuchh aise jee le tu
Ke khush usko kar de
Aisa soche woh bhi ke
Bande ko khuda kar de