Wednesday, November 30, 2011

Ek khushboo pehchaani si...

Ek ajnabi se takra kar
Uski pehchaan kahin
Dil mein yun chhap jaaye
Aisi ek dua hai jo
Yunhi aapko mil jaaye

Ek khushboo pehchaani si
Gar jo dil mein bas jaaye

Ek muskaan dekh kar
Uski khushi kahin
Tumhe jo behlaaye
Aisi ek noor ho wo
Andhere bhi chamkaa jaaye 

Ek khushboo pehchaani si
Jo dhadkan mein utar jaaye

Ek baadal jab baras kar
Tumhe poora bhigaaye
Neend se aise jagaaye
Apne maasomiyat se
Tumhe yun gud-gudaaye

Ek khushboo pehchaani si
Jo saanson mein bhar jaaye

(Dedicated to my sis Mahera Rehman aka @Maahi_Ve)

Tuesday, November 29, 2011

Aisi dua kisey naseeb hai...

A Keyrun Rao Original

Maut tak jis ka intezaar rahey
Aisa to kam hi hota hai doston
Maut ke baad bhi taraste hain
Marr ke jeete hain wo barson

Aisi dua kisey naseeb hai
Ke itni mohabbat paate hain

Chot khaate hain chalte hue
Mazjid ki raah par bhi kabhi
Jahannum ki raah mein mere
Makhmal tune hai bichha di

Aisi dua kisey naseeb hai
Jo itni inaayatein paate hain

Wo khushi hai hi badi alag
Jo tujhse maine hai paayi
Faqir ke naseeb ka sikka
Mere jholi mein jo gir aayi

Aisi dua kisey naseeb hai
Kya deewaana badnaseeb hai

Kitni galtiyaan hoti hain yun
Sabki sazaa maut to nahin
Meri bewafaai ka sila
Mera akelapan hi to nahin

Aisi dua kisey naseeb hai
Tu aaj bhi mere kareeb hai

Dedicated to @TheMasakkali aka Lata Singh!

Monday, November 28, 2011

Hum ishq mohabbat ke...

A Keyrun Rao Original

Kuchh nahin jahaan ki daulat
Kuchh zyaada mili bhi nahin
Ek khazaana liye firta hoon
Noor kabhi khatm hota nahin

Hum ishq mohabbat ke raahi
Kuchh aur jaante bhi nahin

Uski khushi pe jahaan luta dein
Uske chehre ko chaand maan lein
Baawri si hi baatein hain apni
Ab tumse hum kya kahein

Hum ishq mohabbat waale
Dar-ba-dar hain hum yahin

Kabhi dua kabhi to sazaa si
Dhadkanein yun chalti rahein
Jis din sab tham jaayega tab
Tujh mein mil jayenge kahin

Hum ishq mohabbat ke pyaase
Tere bin dariya sookhi zameen 

Saturday, November 26, 2011

Teri dua se...

A Keyrun Rao Original

Tujh se hi seekha jeena
Qurbaan bhi tujhpe hua
Hansta tha jin baatone pe
Aaj rone ko majboor hua

Teri dua se khushiyan thi
Aaj phir chot gehra hua

Ek roshni thi raahon mein
Aaj sab bujha sa lagta hai
Dhadkan thirakti thi kabhi
Ab saansein thak chali hai

Teri dua se wo muskaan thi
Bin tere mera sab mit gaya

Ek suroor sa rehta tha
Tu saath mein jab tak thi
Ab nasha to karte hain
Par kyon wo baat na rahi

Teri dua se barqat thi
Lagta hai ab sab kho gaya

Jis sadak pe Eid manaate hain
Wahaan se chaand gayab hai
Jis mod pe hum milte they
Tera saaya bhi lapataa hai

Teri dua se ummeedein thi
Raha maut ka intezaar ab hai 

Thursday, November 24, 2011

Kuchh is tarah tanhaa

A Keyrun Rao Original

Akele khush rehte they
Na shiqayat na koi gham
Jab galey lagti thi thodi si
Kadwi si wo ek pyaali rum

Sab samajh aati th baatein
Na thi mujhe koi bhi sharam
Khulke jee leta tha jab bhi
Maine pi lee wo thodi si rum

Ajeeb sa lagta hai ye mujhe
Paata hoon ye reham-o-karam
Jab hosh kho kar bhi milti hai
Thodi si mujhko ye rum

Badaa ajeeb sa main hoon
Meri baatein hain be-sharam
Mera bhi hoga koi pyaara sanam
Sach kehhlaati hai aaj meri rum

Na milo mujhey yun hoke besharam
Hai tumhe meri mohabbat ki kasam
Chaahne waala hoon main tera
Lagey chaahey jitney bhi janam

Ab to maaf kar bhi de mujhe
Rehti hai ajeeb si ek ghutan
Jaane kyun dhadakti rehti hai
Kab suljhegi meri ye uljhan

Akele khush rehte they
Na shiqayat na koi gham
Dhadakti hain meri saansein
Par khatm na ho meri uljhan

Friday, November 18, 2011

Vinnaithaandi Varuvaaya's Hosanna: My Hindi version

Javed saab, I have the utmost regard for you, but what you did to the Hindi version of Vinnaithaandi Varuvaaya, as a fanboy of the film, this is the least I could do.



















Kaise rahoon, ek pal tere bin
Kaise kahoon, tu hi to hai meri bas...

Oh hosaanaaaaa

Aas-paas rehti woh jitna bhi chaahe
main rokoon ya tokoon usey
Kehti hai mujhko ki chaahoon main usko bhi
Jitna wo chaahe mujhe

Pyaari badi to hai wo... hosanna
Chahoon badaa usko... hosanna
Ab chaahe jo abhi
Woh na miley mujhko

Dua ye hai ke bas
Hamesha muskaati rahe wo

Hosaanaaa...

Everybody wanna know I feel like aa
Feel like aa really wanna be with you
It's not enough to say that we're
Made for each other,
Its not that its Hosanna true

Be there when am callin' out the Hosanna name
Be there as if whole life has changed
I never wanna be the same,
Its time we re-arrange

Hosanna......

Tere sang sab kuchh to
pyaara lagey mujhko
Sab kuchh khudaai lagey
Tere bin maangoon kya
Soona lagey mujhko
Kuchh na jeene mein bachey

Hosaannnaaaa

Aur ab main maangoon kya
Dega kujhko ab to khuda bhi kya
Kya hai tere begair
Na chhaanv, na seher

Sab chhoota mere yaar
Jab samjha maine tera pyaar
Bas reh ja yahaan to tu
Ya keh de bas ye tu

Hosaannnnnnnnaaaaaaaaaaa

Chaand mein hi basti wo, hosanna
Taaron ko kyon takhti wo
Kuchh to pyaari baat hai
Meri woh qaayanaat hai

Hosanna...

Kaise rahoon, ek pal tere bin

Kaise kahoon, tu hi to hai meri bas...