Friday, February 11, 2011

Aashiq ka inteqaal...

Keyrun Rao originals

Kabhi dhuein mein teri tasweer dikh jaati hai, to pighle baraf ke paani mein ashq chhupa leta hoon.

Tere baad bhi tere saath hain, naraaz ho kar saaye bhi kabhi jism se juda hue hain?

Chaand takh.te hain wo badnaseeb, jinke palkon se mohabbat dhul gayi.
Unki yaadon mein ab bhi baadal chhaan leta hoon.

Teri mohabbat ki kishtein aaj bhi chukata hoon,
teri har yaad pe muskaate hue aansoo bahaata hoon.

Tujhse mila, ishq hua, khuda ki nemat hai,
teri yaadon mein shayari kehna, ab jaise ibadat hai.

Bahut shiqayatein thi kabhi, ke dil ka ye hulia banaya tune,
par khilaunon ka anjaam to hamesha yahi raha hai.

Sajde mein jhuka tha kuchh der, tu to khuda ban baithi,
raund ke mere dil ko qatl-e-wafa kar baithi.

Ishq-mohabbat sabke bas ki baat nahin,
shahaadat mein muskaana qafir ki auqaat nahin.

Mera ishq to tha hi ajeeb sa, andheron mein taare jaisa,
gareeb ki thali mein, jale hue roti jaisa.

Maula tab to tu koi aur tha, jab wo thi saath, aaj to tu bhi itraata hai,
dekh ke mera dil bad-naseeb sa.

Ab hans leta hoon kyonki ashq to beh gaye,
dil ke veeranon mein tere saaye reh gaye.

Sookh gayi palkein, kuchh yaadein reh gaye,
peechhe rahe hum, jeete hue maut si tanhaai seh gaye.

Auron ke aansoo to main bhi roya, par mere zakhm bhi taaza hain,
aaj aise rote hain ki lahoo bhi sharma jaaye.

Ab to aansoo bhi nahin aate, sookhe lahu se ho gaye hain,
kuchh sakht... kaale se.

Kitaabein bhar dete, tere naam ki shayari mein,
aaj usi shayari mein tujhko aur khud ko dhoondta hoon.

Maut hi aa jaati to achcha hota, teri yaadon ki baatein khuda se kar raha hota. Shaayad dil pighal jaata uska, main suqoon se to phir sota.

Faqeeran gale lagaa kar bahut royi, pagli ke ashqon pe kisi aur naam tha,
mere ishaare mein salaam aur dil mein bas alvida tha.

Lahu kaun dhoyega, safed chaddar pe aansoo chadha denge, yun kaun marta hai,
shayari pe waah-waah bichha denge.

Neend phir bhi aa jaati hai, ek maut nahin aati, teri khushi ke aarzoo mein, humein zindagi bhi nahin aati.

3 comments: