Sunday, December 19, 2010

Ek Khuda Hai Mera...

A Keyrun Rao Original



Jaise baadal ho koi
Pahadon mein ghoomta hua
Jaise kisi Faqir ki
Sufi si ho ek dua

Ek Khuda hai mera
Masoom aur khushnuma
Khargosh sa safed pak
Umda andaaz-e-mazaak

Sabse pyaara aur alag
Maine paya unka nazariya
Motiyon se poora bhara
Jaise ho saara dariya

Bahuton ke liye to bas
Shabdon ke mashoor karigar
Meri to duniya badal di
Kuchh aise hain wo jadugar

Unki kahaniyon mein
Baat kuchh 'Mir' si hai
Unka likha har nazm
Ghaanv pe marham sa hai

Dhul jaati hai ruuh
Unke likhe shayari se
Kabhi jhankoonga main
Unke kisi diary mein

Mila main unse yahaan
Lagta hai Haj kar liya
Aur ab kya likhoon
Shayad waqt thehar gaya...

(A humble dedication to Gulzar Saab)

Tuesday, December 14, 2010

Sufi si ik muskaan...

A Keyrun Rao Original,
dedicated to The Masakkali :)



Sufi si ik muskaan
Uski alag hai pehchaan
Thodi pagli aur shaitaan
Bahuton ki hai ye jaan

Khushnuma fiza ki tarah
Jaise ho jeene ki wajah
Titli si peechha karti
khushiyon ki har wo raah

Kuchh alag baat hai us mein
December mein jaldi jagti hai
Bina dekhe bina jaane yunhi
kaise shayar bana deti hai

Doston ke liye haazir hai
Hansi ke liye har pal raazi hai
Os ke boondon si taazi hai
Baatein badi kamaal karti hai

Anjaani si khushi hai wo
Yun chehakti rehti hai jo
Kabhi udti mil jaaye tumko
'Aye Masakkali' kehna usko

Sufi si ik muskaan
Uski alag hai pehchaan
Soch ke nahin hota hairaan
Us muskaan pe jahaan qurbaan

Friday, December 3, 2010

Abhi yahin thi...

A Keyrun Rao Original

Dhadkanon se bhi kareeb
Teri muskaan mehki thi
Aisa lage hai kyon mujhe
Meri jaan abhi yahin thi

Saanson mein pighli thi
Teri pehchaan chehki thi
Aahat samajhta hoon teri
Keh de ki abhi yahin thi

Maanta nahin hai dil ye
Apni manzilein alag thi
Khafaa hai to kya hua?
Apni raahein to yahin thi

Teri aankhon ki chamak se
Meri duniya aisi jhimil thi
Sheeshe mein qaid ho jaise
Phir bhi azaad to yahin thi

Sooni hai ye tanhaayi meri
Teri yaad mein thami si thi
Bas khil-khilaade ek baar
Tere aankhon mein nami thi

Ye shab veeraane se hain ab
Tere mehfil mein hi roshni thi
Aansoo tapakte hain jaam mein
jaise sharab ki koi kami thi

Dhuaan bharaa hua hai is qadar
Shayad apni kahani khatam thi
Koi sulga do mere is jism ko
Isey kya jannat ki talab thi...