Thursday, November 25, 2010

Ajeeb si khamoshi...

A Keyrun Rao original

Chehakte chidiyon ke beech
Shaakh se gire patte jaisi
Muskaate bachchon ke beech
Ek toote hue khilone jaisi

Tere jaane ke baad rehti hai
Ajeeb si kuchh khamoshi aisi

Itne tukdon mein bikhra hoon
Rooh bhi uljhi si lagti hai
Kab tak chalengi ye saansein
Dhadkanein ye sehmi rehti hai

Tanha itni haalat buri nahin hui
Ye khamoshi bas dasti rehti hai...

Ek naqli muskaan sajaayi hui hai
Shayad tu hi laut aaye kisi din
Samajhna na galti se ke khush hoon
Bahut tadpaa hoon main tere bin...

Teri aankhein bhi baatein karti thi
Ab hum khamoshi se baatein karte hain

Kabhi gar takra jaao humse kahin to
Kya ek baar phir waise hi muskuraaoge?
Pyaari si wo yaadein soch ke kya,
Ek baar phir mujhe kas ke gale lagaaoge?

Kabhi teri, kabhi meri galtiyon ko...
Khamoshi se khud ko bayaan karte hain...

No comments:

Post a Comment