Sunday, August 11, 2013

Tujhko kuchh pal sotey dekha...


















A Keyrun Rao original

Kya khwaab mein mili thi tum mujhe
Ya raah par takra gaye they hum
Kaise  dhoondha tha maine tumhe
Jaane kis dagar chal pade they hum

Tujhko kuchh pal sotey dekha maine
Tujh mein kuchh apna sa dekha maine
Teri aankhon mein khwaab they mere
Dhadkan meri mujhe lagi thi kehney

Teri khwaab mein aaj jee kar dekha
Teri muskaan mein khud ko senka
Tere aansuon ko chakh kar dekha
Teri hansi ka chaadar bhi sameta


Tujhko kuchh pal sotey dekha
Tujh bin lagta sab kuchh dhokha
Tujh mein sab kuchh paatey dekha
Bas ek tu hi hai mera yaar anokha

Tujhko maine jagaana bhi chaaha
Meri kya hai tu bataana chaaha
Tu toh so chuki thi gehri neend
Teri saans ko bas sulgaana chaaha


Tujhko kuchh pal maine sotey dekha
Tujh mein kuchh apna sa hi dekha
Teri dhadkan mein main dhadak gaya
Ek teri ore main aakar chamak gaya


Sunday, July 28, 2013

Saaya kisika...














A Keyrun Rao original

Ajnabi sa ek saaya kisi ka
Aaj toot kar gira mujh par
Bada pyaara sa tha toh
Jaane rootha tha kis par

Beeti saari yaadein liye
Jala tha kyon mujh par
Jab bujhi saari yaadein
Ro pada woh mujh par

Roya kuchh main bhi tha
Thodi royi thi woh bhi
Aankhein sooji hui thi
Dard bhi gehra sa toh tha

Us rishte ka saaya tha purana
Zakhm gehra sa tha woh
Aur hans raha tha zamaana
Mushkil tha us yaad ko bhulana

Ajnabi sa ek saaya kisi ka
Aaj toot kar gira mujh par
Kahaani puraani ho chali hai
Chalna hai phir wahi dagar par

Ek rishta dhuan ho gaya toh kya
Naye rishte ki bhi apni jalan hai
Bikhar gaye hum tab toh kya
Ab humein na koi bhi darr hai!

Duniya badal gayi saali













A Keyrun Rao original

Waqt toh aata hai sabhi ka
Aansoo rehte nahin sab din
Muskaan kab tak rehti duur
Khil gaya main bhi aaj ke din

Raet mein neele paani ke jaise
Dikhi tum mujh ko raah mein
Ab bheeg gaya ishq mein tere
Samandar hai tere pyaar mein

Meri duniya badal gayi saali
Andhere mein ho gayi Diwali
Pataakhe phoote mere dil mein
Meri dhadkanein ab bajaaye taali

Chaand mein kyon suraj dikhta hai
Mere sher bhi ab kya tu likhta hai
Teri tareefon ke liye lafz banata hoon
Kyon mujh par ek tu hi chhayi si hai

Har jagah mujhe phool dikhte hain
Manzilein tujh pe aakar rukti hain
Teri raah ka banjaara ban gaya hoon
Itni mohabbat tujhse mujhko kyon hai

Meri toh duniya badal gayi saali
Andhere mein bhi ho gayi Diwali
Mujhe ab bas ek teri hi talab hai
Tera ghoont miley mujhe ek pyaali

Kaisa yeh ujaala sa rehta hai...


A Keyrun Rao original

Bataa kya kahoon tujhe main
Meri likhi ghazal ya koi fasana
Tujhe samajhne laga hoon ab
Pyaar ka yeh lagta hai bahana

Kaisa yeh ujaala sa rehta hai
Jabse tu mujhe apna kehta hai
Tu ab jo bhi mujhe kehta hai
Sab kuchh sachcha hi lagta hai

Koi ek khwaab sach hua ho jaise
Jaane kisi ki dua lagi hai mujh ko
Samaa ja mujh mein tu kuchh aise
Jaise ke ye jahaan mila ho mujh ko

Kaisa yeh ujaala sa rehta hai
Jabse tu mujhe apna kehta hai
Tera hone laga hoon ab main
Ek meetha sukoon sa rehta hai

Dhadkan mein aaj naya taal hai
Kadmon bhi ab uchhaal hai
Har din aankhon mein aansoo they
Badey waqt mein aaya ye saal hai

Kaisa yeh ujaala sa rehta hai
Jabse tu mujhe apna kehta hai
Teri hi panaahon mein mujh ko
Har sawaal ka jawaab dikhta hai

Hawaon ka rukh jaise badal gaya
Aaj lagta hai ke sab hi tham gaya
Is rukey hue pal mein keh doon ye
Tu mili mujhe sab kuchh mil gaya

Saturday, July 27, 2013

Kab socha tha yeh maine...
















A Keyrun Rao original

Khwaab ki tarah aayi woh
Aur bas gayi saanson mein
Kuchh is tarah ke shayad
Khushi ban kar khudi mein

Mithaai pasand nahin usey
Main hi pasand kyon hoon
Poochha toh jaana maine ki
Kadwa toh main bhi hoon

Kab socha tha yeh maine
Ke mujhe bhi koi chaahega
Kab socha tha yeh maine
Ke mera bhi waqt aayega

Uski muskaan hai pyaari
Luta doon ye zindagi saari
Jalogey gar sunogey tum
Pyaari si kahaani humaari

Lagta hai sab tham gaya hai
Saansein meri aur mera lahoo
Bas woh hai mere zehan main
Is se zyaada main kya kahoon

Kab socha tha yeh maine
Ke ek aisi paglil bhi hai
Chaahti hai woh mujhe yun
Mera naya asmaan bhi hai

Sunta hoon usko kuchh der
Kuchh baatein bhi karta hoon
Achchhi lagti hai woh mujhe
Us ke saath hi theharta hoon

Khaana garam hai, aur baatein bhi
Sawaal uske hain, khoya main hoon
Waqt kam hai, par pyaar zyaada hai
Meri nadaani ko bol kya naam doon? 

Friday, July 26, 2013

Tum se mila tha ek din...

















A Keyrun Rao original

Akelepan ki aadat pad si gayi thi
Bartan bhi dhoney laga tha main
Dhuley kapde sookhte nahin they
Kuchh pareshaan ho chala tha main

Tum se mila tha ek din kuchh pal
Baarish toh kahin hui nahin thi
Bheeg gaya tha tere pyaar mein
Kahin kisi ki saazish toh nahin thi

Main toh dhuein se baatein karta
Thoda jee leta aur thoda sa marta
Tujhse baat jab kiya maine toh laga
Main toh tujh se bahut pyaar karta

Tum se mila tha ek din kuchh pal ko
Dhuan toh dekha tha maine bhi us din
Taare toote, khwaab bhi huwe poore
Kya jaane kyon kaise jiya tere bin

Ab toh yeh raat ho gayi kitni andheri
Bina tere kyon mujhe lagey adhoori
Chhoo le mujhe saanson se meri jaan
Jeene ke liye hai bas itna hi hai zaroori

Tum se mila tha ek din kuchh pal
Ek dua maangi thi maine bhi rab se
Jab se hai paaya hai tujhko maine
Laga jaise ki jung ho gaya hai sab se

Wednesday, July 24, 2013

Is Anand Gandhi's 'Ship of Theseus' another flash in the pan?

I remember the first time I watched Satya, I had tears in my eyes and a wish; deep down in my heart, to become Satya, as soon as possible. I knew I could never kill people in real life; screw that, I couldn't even wish ill for anybody. Hailing from a South Indian middle-class background, I was pushing my luck, as far as being a 'Satya' kind of 'bhai' was concerned. I might have ended up as Chandu, the bloke who cracks jokes and eventually dies, that too at the most unexpected times.

What about the recently released, Anand Gandhi's 'Ship of Theseus'? Who gives a damn about it? Ship of what? Ship of who? Anand who? Who are you? The questions are never-ending. My fight was different. There was a film that was being shown to a limited audience, that too, at a theater where everybody wasn't invited / welcome. Ship of what again? Another shit film that you are trying to promote, said a few naysayers.

Theseus ka matlab kya hai saale? Chadh gayi tujhe pencho? I faced a lot of questions by my friends, but those who stood for the film that I thought should be watched by everybody, were only my parents. Having been unable to convince my parents to even watch a festival blockbuster like 'Chennai Express', I was losing ground like never before. How would I convince them to spend about Rs. 300/- per ticket to watch a film that had nothing to offer that they had grown up watching?

The keyword was - Kiran Rao. Before my 11th test result, I was Kiran Rao. A few months later, I became some other guy, who my parents hadn't reared. I soon became Keyrun Rao, the same guy, albeit with a different spelling. Also, with a new identity, that of a guy who was disconnected from his roots.