Showing posts with label main shaayar toh nahin. Show all posts
Showing posts with label main shaayar toh nahin. Show all posts

Sunday, July 28, 2013

Saaya kisika...














A Keyrun Rao original

Ajnabi sa ek saaya kisi ka
Aaj toot kar gira mujh par
Bada pyaara sa tha toh
Jaane rootha tha kis par

Beeti saari yaadein liye
Jala tha kyon mujh par
Jab bujhi saari yaadein
Ro pada woh mujh par

Roya kuchh main bhi tha
Thodi royi thi woh bhi
Aankhein sooji hui thi
Dard bhi gehra sa toh tha

Us rishte ka saaya tha purana
Zakhm gehra sa tha woh
Aur hans raha tha zamaana
Mushkil tha us yaad ko bhulana

Ajnabi sa ek saaya kisi ka
Aaj toot kar gira mujh par
Kahaani puraani ho chali hai
Chalna hai phir wahi dagar par

Ek rishta dhuan ho gaya toh kya
Naye rishte ki bhi apni jalan hai
Bikhar gaye hum tab toh kya
Ab humein na koi bhi darr hai!

Kaisa yeh ujaala sa rehta hai...


A Keyrun Rao original

Bataa kya kahoon tujhe main
Meri likhi ghazal ya koi fasana
Tujhe samajhne laga hoon ab
Pyaar ka yeh lagta hai bahana

Kaisa yeh ujaala sa rehta hai
Jabse tu mujhe apna kehta hai
Tu ab jo bhi mujhe kehta hai
Sab kuchh sachcha hi lagta hai

Koi ek khwaab sach hua ho jaise
Jaane kisi ki dua lagi hai mujh ko
Samaa ja mujh mein tu kuchh aise
Jaise ke ye jahaan mila ho mujh ko

Kaisa yeh ujaala sa rehta hai
Jabse tu mujhe apna kehta hai
Tera hone laga hoon ab main
Ek meetha sukoon sa rehta hai

Dhadkan mein aaj naya taal hai
Kadmon bhi ab uchhaal hai
Har din aankhon mein aansoo they
Badey waqt mein aaya ye saal hai

Kaisa yeh ujaala sa rehta hai
Jabse tu mujhe apna kehta hai
Teri hi panaahon mein mujh ko
Har sawaal ka jawaab dikhta hai

Hawaon ka rukh jaise badal gaya
Aaj lagta hai ke sab hi tham gaya
Is rukey hue pal mein keh doon ye
Tu mili mujhe sab kuchh mil gaya

Monday, May 6, 2013

Maut si zindagi ya zindagi si maut...


A Keyrun Rao original

Tera milna kuchh aisa laga jaise
Maut si zindagi ya zindagi si maut
Zindagi ka khauf toh raha nahin
Na rahi meri maut se mohabbat

Tere saath sab ek sa lagne laga ab
Maano jaise paaya hai maine rab
Ab kisiki talaash nahin hai mujhko
Bachpan sa pak lag raha hai sab

Tujhe dekh kar bas rukna chaaha
Maut si zindagi ya zindagi si maut
Chalte hue thak gaya tha shayad
Teri khushi mein maine sab paaya

Bina tere yeh zindagi maut si lagti thi
Tu jo paas hai toh jannat naseeb hai
Bina tere yeh lambi raah nigal leti thi
Ab toh hamesha muskaan hi rehti hai

Tujh mein maine hai paaya khud ko
Ya shaayad kahin kho diya hai sabko
Maut si zindagi hai ya zindagi si maut
Miloonga jab toh bataoonga us rab ko

Monday, April 8, 2013

Kaisi hai tu...


A Keyrun Rao original

Tujhe gaye zyaada waqt toh nahin hua,
Teri khushboo ab bhi mujh mein hai,
Teri kuchh baatein sunaayi de rahi hain,
Teri rooh ab bhi mujh mein hai kahin

Mujhe ek awaaz de kar dekh toh zara
Teri muskaan se hai mera yeh dil bhara
Jaane kahaan duur chali gayi hai ab tu
Dil mera kyon yeh hai is tarah dara-dara

Jaanta hoon laut aayegi tu jald hi paas mein
Jaane phir kyon hoon aaj itna udaas main
Aisa lagta hai doosre hi kamre mein tu hai
Phir bhi lagta hai sabse tanha hoon aaj main

Aas-paas hi hai kahin aisa mujhe lagta hai
Toh meri rooh aaj kyon itni bhi pyaasi hai
Chhoo hi nahin paa raha hoon tujhe main
Shaayad isliye meri raahein sookhi hui hai

Kaisi hai tu, teri koi bhi khabar hi nahin
Aise kyon lagta hai, tu hai toh yahin kahin
Kaisi hai tu, teri koi bhi khabar hi nahin
Kyon nahin bas jaati mujh mein tu kahin

Friday, November 16, 2012

Khayaali pulaao




A Keyrun Rao original

Dost jab khilaunon se khelte they,
Main khayaalon se kushti khelta
Kabhi main jeet.ta kabhi meri soch
Main hamesha yun tanha tehelta

Kabhi bol nahin paaya zyaada,
Kisi ki suni bhi nahin jaati thi
Sar ke andar ke shor se mere
Baatein bas dab ke reh jaati thi

Kuchh bade hue, to likhne lage
Meri soch syaahi mein ghul ke
Meri awaaz ki laathi ban ke
Alfaaz ban kar ab utarne lage

Akela hi rehta hoon, soch mein
Naye kirdaaron ki talaash mein
Kabhi beer mein, ya rum mein
Ek anjaan se kisi ke gham mein

Mere dost ab paise kamaate hain
Main khayaali pulao pakata hoon
Kahaniyaan, geet aur kuchh kisse
Isi mein apna ab waqt bitaata hoon

(Written for Sneha Khanwalkar)