Showing posts with label i am drunk. Show all posts
Showing posts with label i am drunk. Show all posts

Sunday, July 28, 2013

Duniya badal gayi saali













A Keyrun Rao original

Waqt toh aata hai sabhi ka
Aansoo rehte nahin sab din
Muskaan kab tak rehti duur
Khil gaya main bhi aaj ke din

Raet mein neele paani ke jaise
Dikhi tum mujh ko raah mein
Ab bheeg gaya ishq mein tere
Samandar hai tere pyaar mein

Meri duniya badal gayi saali
Andhere mein ho gayi Diwali
Pataakhe phoote mere dil mein
Meri dhadkanein ab bajaaye taali

Chaand mein kyon suraj dikhta hai
Mere sher bhi ab kya tu likhta hai
Teri tareefon ke liye lafz banata hoon
Kyon mujh par ek tu hi chhayi si hai

Har jagah mujhe phool dikhte hain
Manzilein tujh pe aakar rukti hain
Teri raah ka banjaara ban gaya hoon
Itni mohabbat tujhse mujhko kyon hai

Meri toh duniya badal gayi saali
Andhere mein bhi ho gayi Diwali
Mujhe ab bas ek teri hi talab hai
Tera ghoont miley mujhe ek pyaali

Monday, April 8, 2013

Kaisi hai tu...


A Keyrun Rao original

Tujhe gaye zyaada waqt toh nahin hua,
Teri khushboo ab bhi mujh mein hai,
Teri kuchh baatein sunaayi de rahi hain,
Teri rooh ab bhi mujh mein hai kahin

Mujhe ek awaaz de kar dekh toh zara
Teri muskaan se hai mera yeh dil bhara
Jaane kahaan duur chali gayi hai ab tu
Dil mera kyon yeh hai is tarah dara-dara

Jaanta hoon laut aayegi tu jald hi paas mein
Jaane phir kyon hoon aaj itna udaas main
Aisa lagta hai doosre hi kamre mein tu hai
Phir bhi lagta hai sabse tanha hoon aaj main

Aas-paas hi hai kahin aisa mujhe lagta hai
Toh meri rooh aaj kyon itni bhi pyaasi hai
Chhoo hi nahin paa raha hoon tujhe main
Shaayad isliye meri raahein sookhi hui hai

Kaisi hai tu, teri koi bhi khabar hi nahin
Aise kyon lagta hai, tu hai toh yahin kahin
Kaisi hai tu, teri koi bhi khabar hi nahin
Kyon nahin bas jaati mujh mein tu kahin

Tuesday, July 31, 2012

Aisa kya likh diya...


A Keyrun Rao original

Kuchh bhi hota rehta hai mere saath,
Sab kuchh samajh toh nahin aata hai
Kabhi garmi mein sard hote hain hum
Toh kabhi chaand bhi bhiga jaata hai

Aisa kya likh diya, main raas aa gaya
Jaane tum ne phir kya hai samajh liya
Mujhe aisa laga ke jaise tum ne aaj
Kho kar bhi mujhe hai kyon paa liya

Sawaal gehre aur jawaab khokhle hain tere
Paas nahin hai tu, isliye andhere hain sawere
Ghul bhi ja mujh mein ab, itna bhi na tarsaa
 Duur reh kar, shaamil hai khudi mein mere


Aisa kya likh diya, main tujhe raas aa gaya
Jaane tum ne phir kya hi hai samajh liya
Kabhi to aao meri khwaabon mein tum
Jaanoge ke ye jaadu tera kaise chal gaya

Dard se ek gehra rishta hai, chaahe na maano
Waqt bhi thehra hai, tum ye shaayad na jaano
Rukte hue saans lete hain, ajeeb sa hi lagta hai
Hum aaj bhi woh aashiq hain, maano na maano


Aisa kya likh diya maine, ke aaj main raas aa gaya
Jaane tum ne phir kya hai mujh ko hai samajh liya
Lamhon ke badle mein, maine toh sab hai jee liya
Sochta hoon main ke, mere saath tune ye kyon kiya?

Wednesday, July 11, 2012

Ek bagal mein...



A humble, yet bastardized version of Piyush Mihraji's masterpiece for Anurag Kashyap's Gangs Of Wasseypur!!! Apologies in place...

Ek bagal mein daaru hogi, duusre mein yaariyaan
Paas mein sutta bhi hoga, aur khoob hongi botiyaan
Talli ho kar maangengey jab muft mein yun rotiyaan
Kahega waiter bhi, khaao mere maalik ki jootiyaan

Hum bewdon ki kismat mein rahengi badi gaaliyaan
Koi hansega kahin khul kar, koi kahega shayariyaan
Jaisi ho marzi khuda ki, roothengi duniya-daariyaan
Beech mein toh hain hi yeh ajab-ghazab kilkaariyaan

Koi hairaan khud se hai, koi toh aaj bekhud bhi hai
Kisine aaj khud ko khoya, koi shaayad mehfil mein hai
Aaj ki baat rehne do, sab hi toh ab nashe mein hain
Koi bakwaas kar raha hai, koi kyon sannaate mein hai

Ek shiqaayat kar raha hai, ke gair ki baahon mein hai
Koi kehta hai yeh ke woh kuchh zyaada nashe mein hai
Hum to peekar yeh hain samjhe, ke sab hi chutiye hain
Ek hi gyaani hai yahaan, jo phir bhi hosh mein kyon hai

Ek bagal mein daaru hogi, duusre mein yaariyaan
Paas mein sutta bhi hoga, aur khoob hongi botiyaan
Noch lo haddi aur boti, kaho tumhaari kahaaniyaan
Hansega hum par, jo dekh paayega ye nishaaniyaan