Tuesday, July 31, 2012

Aisa kya likh diya...


A Keyrun Rao original

Kuchh bhi hota rehta hai mere saath,
Sab kuchh samajh toh nahin aata hai
Kabhi garmi mein sard hote hain hum
Toh kabhi chaand bhi bhiga jaata hai

Aisa kya likh diya, main raas aa gaya
Jaane tum ne phir kya hai samajh liya
Mujhe aisa laga ke jaise tum ne aaj
Kho kar bhi mujhe hai kyon paa liya

Sawaal gehre aur jawaab khokhle hain tere
Paas nahin hai tu, isliye andhere hain sawere
Ghul bhi ja mujh mein ab, itna bhi na tarsaa
 Duur reh kar, shaamil hai khudi mein mere


Aisa kya likh diya, main tujhe raas aa gaya
Jaane tum ne phir kya hi hai samajh liya
Kabhi to aao meri khwaabon mein tum
Jaanoge ke ye jaadu tera kaise chal gaya

Dard se ek gehra rishta hai, chaahe na maano
Waqt bhi thehra hai, tum ye shaayad na jaano
Rukte hue saans lete hain, ajeeb sa hi lagta hai
Hum aaj bhi woh aashiq hain, maano na maano


Aisa kya likh diya maine, ke aaj main raas aa gaya
Jaane tum ne phir kya hai mujh ko hai samajh liya
Lamhon ke badle mein, maine toh sab hai jee liya
Sochta hoon main ke, mere saath tune ye kyon kiya?

Monday, July 30, 2012

Kyon mere paas aayaa...

A Keyrun Rao Original...



Taaron ki baraat thi hameshaa,
Baadalon ko bhi nahin bulaaya
Tanha raha hai yeh mera saaya
Har rishta humesha laga paraaya

Phir kyon mere paas hai tu aaya
Beete hue kal ki yaad hai dilaaya
Sab toh kho chuka hoon main ab
Diya toh hai, bujh chala hai saaya

Andhere rahe in raahon mein mere
Iska sach jaane ye tumse kaun kahe
Saahilon mein kyon hum doobte rahe
 Aisi maut hum kab tak kaho sahein

Kyon paas aayaa, kyon mujhe rulaaya
Ek ghoont ki pyaas ko aaj itna tarsaaya
Kyon muskuraaya, aur ye yaad dilaaya
Hum sab ko bas yun hi tumne jalaaya

Ghulam sab hain, koi ab tak hai rihaa
Bheed mein bhi jaane, sab hain tanhaa
Azaad koi nahin hai, sab yahaan ruswa
Jeene ki nayi raah aaj tu hi de dikhlaa

Lamhein aur lahoo, ab ruk hi chale hain
Tere bina ab hum kaise kaho jiye hain
Thoda chalte hain, aur kuchh rukte hain
Yeh zakhm tu jaane hum kaise sehte hain

Aur kya bikna reh gaya hai ab...

A Keyrun Rao Original

Kisine phenka sikka, koi aaj dua de gaya
Jaane kyon mera ye kissa adhoora reh gaya
Ummeed badi le kar chale they aaj hum sab
Maano ek kaala sa manhoos saaya reh gaya

Kya bikna reh gaya hai, kuchh bacha bhi nahin
Meri rooh ka khareed-daar bhi hoga yahin kahin
Sab ka daam laga dekha, kya asmaan-o-zameen
Sab sasta hi paaya, kya woh Allah, aur kya Rahim

Nange ho gaye, sabki keemat bhi laga di aaj toh
Rooh ka mol kya maangogey bataao saahebji
Pariyon ki kahaaniyon par yaqeen utna hi to hai
Kuchh pal jee lene do, marte thay kal bhi aaj bhi


Kya bikna reh gaya hai, kuchh bacha bhi nahin
Meri rooh ka khareed-daar bhi hoga yahin kahin
Chaaha tha ke mol na lag paaye meri khudi ka
Kab se marr ke bhi aaj jaane zinda hain hum yahin

Zakhm ko lahoo nahin, maathey par shikan nahin
Chaand aur taare ke baad ek nayi hi hai zameen
Kitne duur jaaoge mujhse, paaoge bas mujh ko hi[
Chaahe tum raho is jahaan mein ab kya jaane kahin


Kya bikna reh gaya hai, kuchh bacha bhi nahin
Meri rooh ka khareed-daar bhi hoga yahin kahin
Meri is muskaan ka kya bataa tu toh aaj mol dega
Is veerane mein jaan le, yeh dil hamesha dhadkega

Monday, July 23, 2012

Kyon sunein tumhaari...

A Keyrun Rao Original...


Budhaa gaye ho ab, jaane kya kehte ho
Bolna kuchh aur hai, bakte kuchh aur ho
Tumhe sun na chaahte hain, par behre hain
Aaj hum se itne duur bataao tum kyon ho

Aapka waqt aur tha, humaara daur alag hai
Kyon sunein tumhaari, falsafaa kuchh aur hai
Ab kehne sun lene ka waqt toh raha hi nahin
Aap ka kal aur tha, mera aaj kuchh ajeeb hai

Kuchh baatein samajhte hain, kayin pe gussa hue
Alag-alag rehte hain toh kya, rooh hain miley hue
Kabhi fursat mein milenge, aap se hum dil khole
Apne ho kar bhi ab kyon ham itne judaa se hue?

Paapa-mumma pukaarte rahey, tab aap kahaan they
Dhoondh rahey they khud ko, aap kyon nahin they
Aaj aapko ajeeb lag raha hai, ke phone rakh diya
Humne call kiya tha jab, aap bhi toh kahin nahin they

Budhaa gaye ho ab itne saalon mein, jaane kya kehte ho
Bolna kuchh aur hai, bakte toh tum kuchh aur hi ho
Sunte hain dhadkanein tumhaari, ye sach hai to magar
Ek salaam par tumhaari ek dua to humein naseeb ho... 

Sunday, July 22, 2012

Paak mohabbat baaqi hai kya?

A Keyrun Rao Original


Sab kuchh toh maila sa lagta hai, saaf bataao hai kya?
Khuda pe sawaal uth chaley hain, baaqi raha hai kya?
Tumse mil kar laga tha ki rooh humaari dhul gayi hai aaj
 Sawaalon-jawaabon mein paaya, mujhe chaahti hai kya?

Paak mohabbat aaj baaqi hai kya? Mujhe toh nahin lagta
Bataa tujh mein mera aks, aur mujh mein teri rooh kaise
Aaj chaah-kar bhi ye bataa kyon nahin hai kisi ko dikhta
Maut ka saaya hai, nayi dastaan aaj tu kyon nahin likhta

Tera kuchh reh gaya hain mere paas mein, tu dekh bhi le
Aur gehra ho sakta tha ye, kuchh pal aur ye tu soch bhi le
Nigaahein gehri lagi thi teri, kuchh bhi keh ke bana mujhe
Ek nayi rasam hai duniya ki, ye aaj tu bhi mujh se seekh le

Paak mohabbat aaj baaqi hai kya? Mujhe toh nahin lagta
Bataa tujh mein mera aks, aur mujh mein teri rooh kaise
Is masoom shaam ko tu bhi bataa bas kaise hai dekhta
Dekhne ki baat toh ye hai, kaise hai tera khuda jhoomta

Paak to kuchh bhi raha nahin magar, tere bina mujhko
Sooni si kyon lagey hai, mohabbat ki har woh dagar
Allah ke paas fursat aaj zyaada to bachi hi nahin hai
Khuda ka bhi pata nahin, kaisi raah dikhaayega tujhko

Saturday, July 21, 2012

Afsos ki baat hai yeh...

A Keyrun Rao Original...



Izzatein lut jaati hain, kiraane ki dukaan par
Kisiko toh aaj hi udhaar waapas chaahiye,
Koi hai taiyaar, ghar aakar wasool karne ko
Koi rok leta hai humein jhopdi ki hi raah par

Afsos ki baat hai yeh, ke aaj bhi zinda hain
Kab ke marr chuke they, dafan ho gaye they
Galti jaane kya hui humse, koi toh bata do ab
Hum toh aaj bhi bas utne hi sharminda hain

Ek kahaani thi humaare paas, kaise bhi keh dete
Kuchh aansoo bahaate, thoda sa hum seh bhi lete
Kabhi toh tum pari thi, aaj baat kuchh badli hui hai
Thodi khushiyaan tumse paate, gham bhi aaj seh lete

Afsos ki baat hai yeh...ke tum khush ho jaane kahin
Hum tumko dhoondh rahe hain aaj bhi yahin kahin
Tumne toh khuda paa liya, hum aaj bhi khojte hain
Aasmaan tak jaayein, ya phir khod le banjar zameen

Ek sher tum padho, ek main bhi suna hi deta hoon
Akele hain hum, khabar yeh toh hai mujhko bhi
Thoda tum ji lo, apni yeh raahein aaj suljha bhi lo
Ek baar yun milo mujhse, karo jo main chahoon


Afsos ki baat hai yeh...ke hum aaj bhi lagey paraaye
Dhadakte toh sang hain, par duur hi hain yeh saaye
Kuchh kadam ab tum chalo, aur kuchh hum badhein
Kaise bhi padh lo isey, humein saath mein kaun laaye

Thursday, July 19, 2012

Guwahati...

A Keyrun Rao Original

Ghinn aati hai, khud se
aur is desh se bhi aaj to,
Sab ki toh lut gayi izzat,
Kaise chalein shaan se?

Main jaanta nahin usey,
Kabhi dekha bhi nahin
Us dard ko jaana maine
Humaari hai, koi aur nahin

Jaanwar ho chale hain ab
Bas bhook-pyaas rehti hai
Rooh ko dakaar jaayein ab
Insaaniyat udaas rehti hai


Ghinn aati hai, khud se
aur is desh se bhi aaj to,
Yehi reh gaya hai kyon
koi to aaj hi jawaab do 


Haddi-boti ke is hod mein
Kahin toh ek maseeha ho
Koi usool ya koi kanoon ho
Kaise rahoon jallaadon mein

Rooh bik chuki hai is kadar
Khwaabon ke hisaab dete hain
Mushkil si dikhti hai ye dagar
Kain kos hum aaj bhi chalte hain


Ghinn aati hai, khud se
aur is desh se bhi aaj to,
Radha ki kya kahoon aaj
Meera se sabki phati hai

(A humble dedication to all men... bastards, some idiot called them the weaker sex. Quit antagonizing them ladies, it will all come back right at you...)