Wednesday, September 11, 2013

Rishton ki sale dekhi?

















A Keyrun Rao original

Mujhse mooh mod kar chali gayi
Itna halka hi tha kya apne darmiyaan
Jaane main kyon itna gehra utar gaya
Teri muskaan mein reh gayi meri jaan

Bas chal raha tha apni raah par akela
Rishton ki sale lagi thi wahin kahin
Sab sasta bik raha tha us jagah par
Pairon taley meri phisal gayi zameen

Paak dil toh kisi ko chahiye hi nahin
Kahaan jaaoon ab sochne laga hoon main
Discount ke naam par dhokhe hi hain
Jaane ye baat kyon na samajh paaya main

Aao sab mil kar sale lagaate hain yahaan
Imaan toh shaayad bik chuka hai sab ka
Chalo dil ki baat karte hain kuchh pal
Dekhein sabse sasta dil hai yahaan kiska

Chalte-chalte rishton ki sale dekhi maine
Mere muskaan ki jaane kitni boli lagegi?
Uski baahon mein simta raha kuchh pal
Kya jaane uski keemat kya deni padegi

Bade sale lagte hain mere shehar mein
Sunta hoon sab kuchh bik hi jaata hai
Shaam tak hisaab kitaab kar lete hain
Rooh mein jaane baaqi kya rehta hai?

Rishton ki sale dekhi kya tum ne bhi?
Toote dilon se badboo aati hai mujhko
Phir se jaane kyon log khareed.te hain
Ek ujdi muskaan khareedni hai mujhko

Dekhi hai kya koi ujdi muskaan tumne?
Bataao kitna discount dogey tum humein?
Mujhe lagta tha kya daam lagaayega koi
Bahut khush-fehmi shaayad thi humein...

Monday, September 9, 2013

Mohabbat ke rang hote hain?


A Keyrun Rao original



















Mohabbat ke rang hote hain
Maine tere sang dekhe hain

Khushi ka ek meetha rang
Teri hansi mein dekha hai
Judaai ka gehra laal rang
Tere aansu mein dekha hai

Ek khaara rang gusse ka
Nigalna mushkil hota hai
Saanwla rang aankhon mein
Jalte-bujjhte bhi dekha hai

Mohabbat ke rang hote hain
Maine tere sang dekhe hain

Tera mere saath hone ka
Ek neele aasmaani sa rang
Tujh se khafa ho jaane par
Gehri andheri raat ka rang

Meethi gulaab pankhudi si
Tere pyaare labon ka rang
 Billi ki bhoori aankhon si
Tere galey par til ka rang


Mohabbat ke rang hote hain
Maine tere sang dekhe hain

Monday, September 2, 2013

Khulkar hanste dekha toh jaana
















A Keyrun Rao original

Kaun kehta hai mujhko deewana
Tujhse milkar maine yeh jaana
Hansne ki wajah kaun maange
Koi bataao itna kaun hai siyaana

Khulkar hanste dekha tujhe toh jaana
Itna bura bhi nahin hai ye zamaana

Hanskar toh dekho tum bhi zor se
Aise dost toh milte hain naseeb se
Humraaz kaise banogey tum huzoor
Uski khushi toh dekho tum kareeb se

Rona toh khatam hota nahin kisika
Aaj kisi ko hanste hue bhi dekh lo
Marte ko rehne bhi do qabr mein
Kisi jeete ko muskuraate bhi dekh lo

Khulkar hanste dekha tujhe toh jaana
Itna bura bhi nahin hai ye zamaana

Hansna toh ek daen hai us khuda ka
Roney mein kya rakha hai bataao
Chaand mein tumko paaya hai maine
Taaron ka kya hai yeh hi samjhaao

Kaun kehta hai mujhko deewana
Tujhse milkar hai maine yeh jaana
Jab bhi tujhko hansta hua paata hoon
Mera har gham ban jaata hai begaana

Khulkar hanste dekha tujhe toh jaana
Itna bura bhi nahin hai ye zamaana
Khuda toh tere labon par rehta hai
Yeh baaqi saara ab kya hai fasaana?




Monday, August 26, 2013

Mujh se mila diya...
















A Keyrun Rao original

Bewajah sa hi tha mera sab kuchh
Saansein lena, kishton mein jeena
Paise kamaana, aur kharch ho jaana
Jaane kyon dhadakta tha dil kameena

Teri muskaan mein kuchh mil gaya
Teri aankhon mein sab kho bhi diya
Mujh se mila diya aaj tumne mujhko
Kaise is aks se mujhe tumne mila diya

Kuchh samajhta nahin tha tujhse pehle
Khushi ki khushi nahin, gham bhi nahin
Bas dil dhadakta rehta tha mera har pal
Kambakht wo rukta tha jaane kyon nahin

Anjaana sa akelapan rehta tha mujh mein
Ishq bhi ho chala tha mujhko us tanhaai se
Ab kyon akele mujhse raha hi nahin jaata
Jaise ab bhi tujhko kehna hai kuchh mujh se

Dard chala gaya, zakhm saare bhar gaye ab
Ab toh yaad bhi nahin hai mujhko kuchh bhi
Tere pyaar mein chhupa hua khush hoon
Mera kal mera nahin hai, aaj se toh sab tera hi

Mujh se mila diya aaj tumne mujhko
Jaise kisi ne marte hue ko di ho koi dua
Tujh se milkar ab main itna khush hoon
Ke sab se milkar bhi aaj hi main poora hua

Tere aane ka intezaar rehta hai mujhko bas
Main tujhe kuchh ghadi bhar aur dekh loon
Tere saath mein jee loon main jee bhar kar
Mil jaaye mujh ko bhi bas itna sa hi sukoon

Mujh se mila diya aaj tumne mujhko
Laga ke main jaanta hoon us shaqs ko
Khushi mujh se bhi mili thi kya kabhi
Woh kahaani sunaaoonga main tujhko  

  

Naachne ka mann karta hai...

























A Keyrun Rao original

Itna khush rehta hoon aaj-kal
Jaise lottery lag gayi ho meri
Paagal samajhte hain mujhko
Ki khopdi satak gayi ho meri

Naachne ka mann karta hai ab
Naachna aaye nahin toh kya
Gaane ka mann karta hai ab
Gaana aaye nahin toh bhi kya

Sab kuchh keh deta hoon usko
Kuchh rehta nahin is dil mein
Woh bhi sab kuchh bak deti hai
Milte hi mujhe ek hi saans mein

Ajeeb sa lagta hoon naachta hua
Par ab mujhe koi parwaah nahin
Pagalon sa muskaata rehta hoon
Mera shayad ab koi ilaaj hi nahin

Jalebi ka tukda nigla ho jaise maine
Ya chaand pe kavita likh liya jaise
Tujh se milkar sanwar gaya hoon
Main toh kabhi nahin tha kuchh aise


Naachne ka mann karta hai ab
Ab toh mujhe koi bhi na roko
Pyaar ho chala hai bada gehra
Is raah par mujhe ab tum na toko

Sunday, August 11, 2013

Tujhko kuchh pal sotey dekha...


















A Keyrun Rao original

Kya khwaab mein mili thi tum mujhe
Ya raah par takra gaye they hum
Kaise  dhoondha tha maine tumhe
Jaane kis dagar chal pade they hum

Tujhko kuchh pal sotey dekha maine
Tujh mein kuchh apna sa dekha maine
Teri aankhon mein khwaab they mere
Dhadkan meri mujhe lagi thi kehney

Teri khwaab mein aaj jee kar dekha
Teri muskaan mein khud ko senka
Tere aansuon ko chakh kar dekha
Teri hansi ka chaadar bhi sameta


Tujhko kuchh pal sotey dekha
Tujh bin lagta sab kuchh dhokha
Tujh mein sab kuchh paatey dekha
Bas ek tu hi hai mera yaar anokha

Tujhko maine jagaana bhi chaaha
Meri kya hai tu bataana chaaha
Tu toh so chuki thi gehri neend
Teri saans ko bas sulgaana chaaha


Tujhko kuchh pal maine sotey dekha
Tujh mein kuchh apna sa hi dekha
Teri dhadkan mein main dhadak gaya
Ek teri ore main aakar chamak gaya


Sunday, July 28, 2013

Saaya kisika...














A Keyrun Rao original

Ajnabi sa ek saaya kisi ka
Aaj toot kar gira mujh par
Bada pyaara sa tha toh
Jaane rootha tha kis par

Beeti saari yaadein liye
Jala tha kyon mujh par
Jab bujhi saari yaadein
Ro pada woh mujh par

Roya kuchh main bhi tha
Thodi royi thi woh bhi
Aankhein sooji hui thi
Dard bhi gehra sa toh tha

Us rishte ka saaya tha purana
Zakhm gehra sa tha woh
Aur hans raha tha zamaana
Mushkil tha us yaad ko bhulana

Ajnabi sa ek saaya kisi ka
Aaj toot kar gira mujh par
Kahaani puraani ho chali hai
Chalna hai phir wahi dagar par

Ek rishta dhuan ho gaya toh kya
Naye rishte ki bhi apni jalan hai
Bikhar gaye hum tab toh kya
Ab humein na koi bhi darr hai!