Ek khwaab samjha tha
Khwaab se jaaga hoon main umron baad
Original song here:
A Keyrun Rao original
Khwaab se jaaga hoon main umron baad
Galti se jisey pyaar samjha tha maine
Dil mera chheel ke gayi hai kuchh aise woh
Jisey maine apna yaar samjha tha kabhi
Na jaane ab kahaan kho gayi hai woh
Aaj toh roney do bahut der tak mujhe
Aansoo toh ruk bhi nahin rahey hain mere
Meri saansein baaqi hain ab tak jaane kyon
Kuchh sunaayi bhi de raha hai tujhe?
Itne sawaal hain mere, koi toh jawaab do
Veeraan se din hain mere, andheri si raatein,
Abhi khatm nahin hui hain hamari baatein,
Ruk jaao meri palkon mein bas ek raat aur
Aao hum kucch karein thodi si aur mulaakaatein
Bas ek khwaab sa samjha tha tujhe,
Ab thodi si neend ko hum ab roz taraste hain,
Kahin nahin hai tere jaisa koi khwaab mein mera
Teri yaadon ke bina, mere naina ab baraste hain
Khwaab se jaaga hoon main umron baad
Tujhse milne ko meri rooh kyon tarasti hai,
Tere jaane ke baad bhi mujh mein qaid hai tu
Teri muskaan ab bhi meri saanson mein basti hai.
Ek khwaab sa samjha tha tujhe, jaane kyon?
Tujh se bada mera koi sach bhi to hai nahin
Ek muskaan mujhe de ja kuchch der ke liye
Us se bada bhi mera koi aaj sach hai hi nahin
Original song here:
No comments:
Post a Comment