A new poem inspired by the 'Fillum' song in Shamitabh
Kuchh pal andhera sa tha shuruaat mein,
Koi akela aaya tha, kuchh kisi ke saath mein
Phir ek nayi kahaani shuru ho gayi parde par
Badi taaliyon aur seetiyon ke bauchaar mein
Har hafte koi ek nayi kahaani, kisi ki bayaani
Chaahe bachpan ho ya khilti hui aapki jawaani
Jaan chhidakte hain hum, Dil lagaate hain hum
Zindagi ho jaati hai awesome… CineMaa kasam
Koi actor ho ya star, ya phir ho koi superstar,
Sukh-dukh ke hain saathi ye apne kalakaar,
Unki banaayi duniya mein hum sab khush hain
Ghar ke paas theater hai, why do we go too far?
Andhere se roshni ke beech apni ye zindagi hai
Chaahe jaisi bhi hai, kyon lagta hai ki sahi hai
Jaan chhidakte hain hum, Dil lagaate hain hum
Zindagi ho jaati hai awesome… CineMaa kasam
Har ek kahaani kisi na kisi ko toh touch kar jaati hai,
Kisi se bore ho jaate hain, kuchh achchi lag jaati hain,
Jaane-anjaane hum kuchh waqt saath bitaate hain
Kabhi kabhi anjaani dagar mein khud se mil jaate hain
Kahaani jaane kiski hai, aur kehne waala kaun hai,
Bol jaane kisne likha tha, aur gaane waala kaun hai
Jaan chhidakte hain hum, Dil bhi lagaate hain hum
Zindagi ho jaati hai awesome… CineMaa kasam
No comments:
Post a Comment