Saturday, January 28, 2012

Masoom namaazi ki tarah...

A Keyrun Rao original

Ishq tera chaaha tha, jaane ye kya mila
Ek muskaan chaahi, kyon mujhe diya rula
Daulatein hi maang leta is jahaan ki saari
Jaane tu mujhe hi is kadar kyon mila?

Masoom namaazi ki tarah ek ummeed ki
Phir kyon chal pada dard ka aisa silsila

Khushi ki talab thi, to muskuraana seekha
Tujh mein socha tha wo sab kuchh dikha
Ek bada sa ghaanv mujhe raseed hua
Aisa phir kyon mere hi saath mein hua?

Masoon namaazi ki tarah ek ummeed ki
Phir kyon chhalni hua mere is dil ka raasta

Sach hai, ke deewangi mein rakha kya hai
Insaan shaayad tanhaa hi bada achcha hai
Chaaho kisiko, aur kho bhi do bewajah
Tum bataao, kya marr jaana hi achcha hai?

Masoom namaazi ki tarah ek ummeed ki
Phir kyon yeh dard hai seene mein hai utha

Paise kamaa lete hain, kharch kar dete hain
Par kyon sab isiko hi jeene ka naam dete hain?
Jab paise hi nahin they, bas ek meri tu thi
Is khayaal mein bhi to hum jee hi lete hain...

Masoon namaazi ki tarah ek ummeed ki
Phir kyon tu mujhko barson mein nahin mila?

Bas ek tujhe maanga, aur kuchh nahin chaaha
Jaane kab tak chalega ye dard ka zaalim silsila
Ab tu toh hai nahin, bas teri kuchh yaadein hain
Itna bataa de mujhe, in saanson ka karoon kya?

Masoon namaazi ki tarah ek ummeed ki
Phir kyon main aaj bhi tere liye zinda raha?

Tuesday, January 24, 2012

Aadha chaand | Dhundhla suraj

A Keyrun Rao original, dedicated to filmmaker Sudhish Kamath's beautiful film, Good Night | Good Morning



Dum ghutne laga tha mera
Tera khumaar utra nahin barson
Bhool paayenge kabhi tujhko
Aisa jaane kab aata koi sawera

Ek ajnabi se milke jaane kaise
Baadalon se chhane dhoop jaise
Kuchh ajeeb sa dikhaayi diya
Wo aadha chaand, dhundhla suraj

Ishq karna koi sikha to nahin sakta
Apna hi ek tajurba baant sakta hai
Tujhse so jo maine seekha, Moira
Thoda tujhko bhi main sikha chala

Shaayad hum us raat ke sahaare jiyenge
Ya woh subah humein maar daalegi
Ye ehsaan rahega us khuda ka hum par
Sochta tha saali tanhaai mujhe nigal legi

Ik gumnaam awaaz se baatein kar ke
Dil mera is kadar halka ho gaya
Sach kehta hoon Moira, yun laga ke
Maano ishq ka ghaanv bhar gaya

Shaayad phir kabhi jo milna hi na ho
Ya phir kuchh kadam aur saath chalein
Hamesha hi humein yaad rahega
Wo aadha chaand, dhundhla suraj

Har pal kisika saath ho, zaroori to nahin
Tere bina bhi meri kahaani adhoori nahin
Teri meethi yaadein saath rahengi mere
Phir kahin takra jaayenge yahin-kahin

Socha na tha ki is tarah bhi koi milegi
Jiski khaamoshi mein bhi ek dua rahegi
Chaaha tha ki hamesha saath rahein
Ek khwaab ki tarah meri ye dagar sajegi

Suqoon mila zindagi tujhse baant kar
Achcha rahega aane waala har safar
Kaise bhoolenge hum jitna chaah kar
Wo aadha chaand, dhundhla suraj

To Moira, with love... Turiya.

Friday, January 20, 2012

Koi sunta hi nahin...

A Keyrun Rao Original

Sab ki hoti hain, meri bhi thi,
Ek kahaani, ajeeb-o-gareeb si,
Kehna toh chaahta hi tha, dil se
Thodi si jaani, kuchh thi anjaani si

Kyon kisine na taali bajaayi
Na meri ye peeth thap-thapaayi
Shaayad meri kuchh alag baat thi
Kisi ke bhi toh samajh hi na aayi

Pyaar ke badey kissey kaho
Ya toh bolo baatein takraar ki
Hum to jaante hi nahin hain ke
Duniya kya hai tere qirdaar ki

Maa banegi shaayad, ya toh nahin
Kahaani toh sabki itni hi si hai
Kisi ne janmaa yahaan pyaar ko
Kisi ne diya chehraa nafrat ko hai

Maut toh pehle aa jaati hai
Zindagi ka koi thikaana nahin
Tum hi bataa do mujhe ab
Muskaane ki wajaah hi nahin

Sab ki hoti hai, meri bhi to thi,
Ek kahaani, ajeeb-o-gareeb si,
Kehna toh chaahta hi tha, dil se
Thodi si jaani, kuchh thi anjaani si

Jeene-marne ka usool kya hai
Tere bin is sab ka sabab kya hai
Saansein ye sasti toh lagti hain
Tanhaa jeene ki keemat kya hai

Koi sunta hi nahin aisa hai shor
Rooh se chhilti nahin hai ye dor
Two plus two could easily be four
Ye dil jaane kyun ab maange more

Thursday, January 19, 2012

Raat ka burkha odh kar...

A Keyrun Rao Original

Chehre to din mein bhi anjaane hain
Ujaalon ka ab kuchh nahin hai asar
Taaron ki roshni mein jaane kya baat hai
Badi saaf dikhaayi deti hai yeh dagar

Raat ka burkha odh kar chali to thi woh
Jaane kyon nahin bani woh meri humsafar

Saaye pehan bhi lo, rooh to dikhti hi hai
Kuchh bhi tum kaho, fiza toh mehakti hai
Is kadar shaamil ho tum meri zindagi mein
Dhadkan meri jaane yun kaise thirakti hai

Raat ka burkha odh kar chali to thi woh
Jaane kyon na hua uspe mera koi bhi asar

Anjaan hain tumse, to kya hua ye bataa
Maaf kar de, chhoti si to thi meri khataa
Khushboo si rehti ho ab meri saanson mein
Kaise hua yeh, bataa kya hai tujhe ye pataa

Raat ka burkha odh kar chali to thi woh
Jaane kyon rahi mere ishq se yun bekhabar

Kitna dhoondha tumhe, ab toh hadd hai\
Tera-mera phir milna, kya jaane ye kab hai
Intezaar mein rehte hain, yun subah-shaam
Maekash ko tarasta ho jaise koi jaam

Raat ka burkha odh kar chali to thi woh
Jaane kyon ruki thi hoke yun besabar

Saturday, January 7, 2012

Ek nayi si dhun baji


A Keyrun Rao Original

Kuchh to baat hai us mein
Ajanbi ho kar bhi nahin lagti
Dil ke kareeb rehti hai wo
Ek pyaare dost si hai lagti

Yun to bahut miley haseen
Kisi ke saath mera nahin scene
Maahi maahi keh pada ye dil
Kaise bani mere sapnon ki queen

Ek nayi si dhun baji seene mein
Kuchh ajeeb uchhaal bhi thi
Mere in tanha kadmon mein
Mazaa aaya tujhse milne mein

Kuchh baat to khaas hai tujh mein
Aise pehle to nahin muskaaya main
Jaane kiski yaad dilaayi hai tu ne
Phir laga main hoon maikhaane main

Ek nayi si dhun baji aaj seene mein
Alfaaz jaane kab mujhe milenge
Shayari to kehna chaahta hoon par
'Irshaad' kehne waale kahaan milenge

Saare shehar ke chehron mein
Jaane kyun teri hi adaa yaad hai
Ek nayi dhun suni dhadkan ne
Kya phir mujhe pyaar hone ko hai?

Friday, December 16, 2011

Khoob ishq naseeb hua...

A Keyrun Rao Original

Ek tere siwa sabne chaaha humein
Aisa mujh mein kya dikhaayi diya
Jo tujhe kabhi nazar mein hi na aaya
Ye sochte hue guzarte hain lamhein

Kuchh bhi to nahin badlaa idhar
Jaane tu kyon rahi hai bekhabar
Teri khamoshiyon ki talaash mein
Aaj bhi hoon main bin humsafar

Khoob ishq naseeb hua tere baad
Phir bhi hamesha mujhe bas teri yaad

Muskaan se mehroom kyon rahoon
Kya phir se main mohabbat kar loon
Tere bina ye saalon se bade lamhe
Tu hi bataa main kis tarah katoon

Tujhe paane ki ummeed aaj bhi hai
Tujhse mujhe pyaar aaj utna hi hai
Jald hi mujhse kahin takra jaao
Tere ishq ki mujhe tishnagi hai

Khoob ishq naseeb hua tere baad
Phir bhi hamesha mujhe bas teri yaad

Thursday, December 15, 2011

Woh zamaana aur tha...

A Keyrun Rao Original

Chaand, taare, saara aasmaan,
Jaise kadmon mein paaya ho
Sajde mein sar jhukaaye yun
Paaya ho saara yeh jahaan

Woh zamaana yaari ka aur tha
Woh fasaana kuchh aur hi tha

Waadon pe tere yaqeen kiya
Teri yaadon mein is qadar jiya
Apni rooh ko maine tera kiya
Bas tera saaya talaash kiya

Woh zamaana ishq ka aur tha
Dil ka behalna kuchh aur hi tha

Teri muskaan mein baat aur thi
Humaari raahein kuchh aur hi thi
Duur tak saath chalna tha magar
Shaayad manzil kuchh aur hi thi

Woh taraana labon pe aur hi tha
Tera yaad aana bhi kuchh aur tha