Thursday, September 27, 2012

Naye zakhm ki talaash hai...















A Keyrun Rao Original

Ghaanv bhar gaya hai ab, nishaan baaqi hain
Ishq ab dhal sa gaya hai, yaadein baaqi hain
Dard se dosti ho chali hai, ab jalta nahin hai
Tere bina aaj bhi meri yeh saasein baaqi hain

Naye zakhm ki talaash hai, ek naya sa dard
Dil aaj dhoondhta hai, phir ek naya ghaanv
Ek nayi maut, ek naye se saaye mein aaj bhi
Jaise ho koi aahat pehle ki teri koi baat sard

Sab theek ho chala, main muskaane laga tha
Ek naya sa chehra mujhe ab lubhaane laga tha
Dard se puraana rishta hai mera kuchh is tarah
Main aaj jaane usko kyon yaad karne laga tha


Naye zakhm ki talaash hai, ek naya sa dard
Dil aaj dhoondhta hai, phir ek naya ghaanv
Ek nayi zindagi, aur shaayad ek nayi shuruaat
Jaane aaj kahaan hai kiske saath woh bedard

Chaand dekha maine, aur kucch bikhre taare bhi
Tera aks ab bhi hai, chaahe jo ho nazaare bhi
Tanha toh kabhi mehsoos na kiya khudko maine
Kabhi saath tu tha, kabhi sang they nazaare bhi

Wednesday, September 26, 2012

Mera aasmaan alag hai...

A Keyrun Rao Original dedicated to love stories that ended abruptly...













Badi  khoobsurat raat thi woh,
Jab tujhe chamakte dekha tha
Ek nayaab sa gehna hi thi tum
Maine toh chhoo ke dekha tha

Ek taara thi tum, mera aasmaan
Jaane kyon kuchh alag sa hi tha
Mera armaan thi tum, phir kyon
Tera jahaan jaane kuchh aur tha

Jab miley hum toh badi khushi mili
Tere bina bas gham ki mehfilein mili
Tere rehte khushiyaan thi kayin saari
Bin tere toh mujhe bas mayoosi mili

Mera aasmaan thi tum, aur taara bhi
Aaj kyon tum ho gayi ho itni ajnabi
Ghaanv hain aur saare yeh dard bhi
Aaj phir mujhe hai teri talab si lagi

Ek taara toota, ek dua aur maanga
Mera aasmaan alag hai toh kya hua
Teri khushi ke liye maine aaj phir se
Maangi maine khuda se ek aur dua

Mere aasmaan ka taara tum hi ho
Har ik pyaara sa nazaara tum hi ho
Meri jaan chaahe tum aaj le bhi lo
Har saans ki dhadkan bas tum ho

Monday, September 24, 2012

Jab tak hai jaan...

A Keyrun Rao Original dedicated to Yash uncle's forthcoming film...

Pehli baar tujhe udaas dekha tha,
Mere andar jaane kya marr gaya;
Tumne kuchh kaha bhi nahin mujhe
Jaane tab main kya samajh gaya

Tujhe rota hua kyon na main dekh paaya
Tujh mein dhoondha maine apna saaya

Tera dard maut se bhi zyaada laga mujhe
Teri baatein toh rooh mein ghar kar gayi
Ek aansoo tera behta hai jab kisi baat par
Ghayal kar deti hai woh khayaal mujhe


Tujhe rota hua kyon na main dekh paaya
Tujh mein hi toh hai mera yeh dil samaaya

Roshni mein bhi tujhe kuchh dikha nahin
Kisi bhi manzar par main mila bhi toh nahin
Kaise jataoon apna pyaar tujhko ab bataa
Hai yahin par tujhe jaane kaise pataa nahin


Tujhe rota hua kyon na main dekh paaya
Tujh mein bhi hai mujhsa ek adhoora saaya

Jab tak hai jaan, bas ek tera rahoonga main
Teri muskaan mein bhi khilta rahoonga main
Tere aansoo aaj bhi ghayal karte hain mujhko
Teri ummeed mein phir bhi zinda rahoonga main


Tujhe rota hua kyon na main dekh paaya
Tujh mein basta hai mera hi ek anjaan saaya



Sunday, September 23, 2012

Aaj bahut akela hoon...















A Keyrun Rao Original

Kuchh karoonga achhaa, ek muskaan toh laoongaa
Ek andheri raat mein, ik diya main bhi toh jalaoonga
Tere bina koi ummeed nahin, na hi koi meri jeet hai
Ek badi puraani si koi dhun aaj phir main sunaoonga

Aaj bahut akela hoon, bade zor se aaj main gaoonga
Mat suno mujhe, phir bhi meri kahaani main sunaoonga

Tum hi bataao mujhe, aaj yeh roshni kahaan se aayi hai
Yeh subah kahaan thi, aur yeh raat kahaan se aayi hai
Jagaao mujhe aur bataao mujhe, teri yaad kyun aayi hai
Chaand ki roshni mein, kaise aaj yeh tanhaayi paayi hai


Aaj bahut akela hoon, bade zor se aaj main gaoonga
Mat dekho mujhe, aaj phir wahi kahaani dohraoonga


Baadal hain, taare aur chaand bhi toh aaj yahin hain
Jaane kyon bas aaj tu mere aas-paas bhi nahin hai
Kitne sawaal aur jawaab sab mere aaine mein hain
Agar nahin hai koi, aaj bas tu mere saath nahin hai


Aaj bahut akela hoon, bade zor se aaj main gaoonga
Duur jaao mujhse, ek puraana zakhm phir dikhaoonga


Bheed hai, log hain, bas ek tu hi toh hai kahin nahin
Khwaab hai, saans hai, bas tera nishaan kahin nahin
Kyon itni duur hai tu, ke ho kar bhi tu kahin bhi nahin
Mera aasmaan tu hai, aur tu hi hai jaan le meri zameen


Aaj bahut akela hoon, bade zor se aaj main gaoonga
Jeete toh yahaan sab hain, ek maut main mar jaaoongaa

Tuesday, September 18, 2012

Toote dil ki jhankaar...

Kuchh manhoos sa hi tha ek woh din mera
Kuchh khwaab tootey, sang mein mera dil
Kuchh meri saansein pighli, thoda aasmaan
Kahaan hai bataa chhupa hua aasmaan tera

Toote dil ke saaye mein, rehta hai ye saaya mera
Ujaalon mein dooba rahey, yeh andhiyara mera
Zakhm sookh bhi jaaye, behta hai mer laal rang
Chalta hai yun bebaak, jaise sab kuchh hai mera

Tujhe dekha toh ek jhankaar sunaayi di mujhko
Aise laga ke ek nayi raah mil gayi ho mere dil ko
Aaaj tum toh ho nahin, na hai teri koi parchhaayi
Ek gehra sa ghaanv jaise laga hai mere is dil ko


Toote dil ke saaye mein, rehta hai ek khwaab mera
Ujaalon mein khoya rahey, kyon yeh sawaal mera
Itne kadam teri taraf chaley, koi nishaan nahin hai
Tu hi bata ke kaun banega ab yahaan gawaah mera


Kuchh manhoos sa hi mera ek pal tha woh
Chand rishtey mere haath se bhi chhootey
Kuchh khamoshi si thi, thoda sa shor bhi tha
Jaise mujh mein hi jaane kahin basta tha woh

Monday, September 3, 2012

Kal ki baarish…


A Keyrun Rao Original















Baadalon ne phir mooh khola,
Paaniyon ne cheer ke rakh diya
Shehar zakhmi sa dikhne laga
Banda bhi thoda yahin beh gaya

Chhaaton ki kya baat karein hum,
Chhatein bhi toh uda kar ke gayi
Maasoom se wo saari nigaahein
Geela asmaan odh karke so gayin

EK baadal jo hota mera bhi agar,
Sawaar hokar ladte aasmaan se
Bijliyon se dhamkaate khuda ko
Bandon ki ore se gila bhi karte

Kal ki baarish kuchh aisi padi thi
Taare bhi baukhlaaye se dikhey
Kal ki raat kuchh aise beeti thi
Jaise jung ke farmaan hon likhey

Aise laga ki aasmaan ro diya tha
Jaane uski kya thi shiqayaat humse
Kaala dhuan humne usey pilayaa tha
Ye jawaab maangein ab hum tum se

Bardaasht koi bhi kab tak kare koi zulm
Kabhi to bahenge dard aansoo ban ke
Baadalon se girey to khuda ko kosoge
Apni khaamiyaan chhupa ke chalo tan ke

Kal ki baarish kuchh aisi padi thi
Nazaare bhi saare dard mein dikhey
Naraaz aasmaan ko dekho gaur se
Kya tumhe uske gehre ghaanv dikhey?